Tata Curvv Petrol Car | All Details are here

TATA motors ne haal he mai apna ek naya model launch karne jaa rahi  hai jiska name tata curve hai yeh 2 September 2024 taak petrol aur diesel variant mai launch ho jayegi aur iska price 12.55 lakh se lekar 17.50 lakh takk jayega iss model ke apne bhaut se amazing features hai jo kaafi logo pasand aye agar baat kari jaye iske features ke toh yeh ek suv coupe hai jo ke 5 seater hai aur signature sloping roofline ,LED light bars aage aur piche ,split headlamps ,dual tone alloy wheels,flush -fitting door handles aur inverted L-shaped LED taillights ke sath apko six colour option ke sath mil jati hai jaise ( GOLD ESSENCE, PURE GREY, OPERA BLUE, FLAME RED , PRISTINE WHITE AUR DAYTONA GREY).

Aur baat kari jaye iske interior ke toh isme apko panoramic sunroof , ventilated front seats , 12.3 inch touchscreen infotainment system ke sath fully digital coloured instrument cluster, electric parking brake aur four- spoke steering wheel illuminated tata logo ke sath mil jati hai , aur sath he 360-degree camera , front parking sensor aur carbon-fibre finish dashboard bhee hai aur issi ke sath apke safar ko aur aramdayak banana ke liye rear recline seat ka bhee function apko iss car mai milega. Issi ke sath app apni drive ko bahut khaas bana sakte ho inhone apki safety aur drive ka khaas khayal Rakha hai aur app apni drive ko apne mood ke hissab se lights ke zariye aur khaas bna sakte ho inhi sabhi ko dhyaan mai rakh kar inhone multi colour mood lighting ka bhee option diya hai aur Sath hee paddle shifters bhee apko provide kraye hai jis karan  se apki drive ek dum aasan aur aramdayak Tarike se ho jayegi .

Sath he inhone apne design ko kafi luxury tarike se design kiya hai jiska experience apko kafi acha milega.

TATA curve apko three engine option (1) 1.2 – litre turbo – petrol, (2) 1.2 – litre GDI turbo – petrol aur akhiri 1.5 litre diesel .

Aur isme apko transmission include six-speed manual aur DCT unit ke sath mil jata hai iske sath isme 123bhp aur 2NM ka torque milta hai customer isme eight variant mai se ek chuun sakte hai apne hissab se au yeh 8 variant hai
(1) Smart , (2) pure+, (3) pure+s , (4) creative , (5) creative+ s , (7) accomplished s , (8) accomplished+A.
For safety features
Blind spot detection
6 air bags
E call / B call
Rain sensing wipers

Leave a Comment